Advertisement
lyrics :-Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho ko tum Paalna
Piyar Maa ki tarah karna
Mere baccho'n......
Aaye Awaz e tasbeeh jab Tak Meri
Tum samajhna k Zahra Hai Zinda Abhi
Mere Hujre me Aa Jana
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n.....
Mere Hasnain masjid se Aaye'n Agar
Aur poochege tumse k Maa hai kidhar
Pehle Khana khila Dena
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n.....
Phir bhi jaa'n khoye Bacche meri yad me
Aur pukarege Mujhko wo rudad me
Mar gayi Maa Bata Dena
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n......
Mera Chota pisar Mera lakht e Jigar
Rat me uth ke pani wo Mange Agar
Uth ke pani pila Dena
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n........
Mera Beta Hasan Mera Noor e nazar
Usko ho Rat me jab bhi Dard e Jigar
Seena dheere se sehlaana
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n........
Aaye'n kulsoom o Zainab jo Roti hui
Jaan Madar ke gham me Wo khoti hui
Tum tasalli unhe Dena
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n.......
Dard e pehlu kisi se Aya'n na kiya
Sabr karti rahi Umr bhar Sayyeda
Dard me phir bhi ye kehna
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n........
Waqt e Akhir ye Zahra ne Aasif kaha
Ghusl dena Mujhe shab me tum Murtaza
Shab me laasha Bhi dafnana
Mere baccho'n Ko Tum Paalna
Boli Asma Se ye Sayyeda
Mere baccho'n.........
Advertisement
Event Venue & Nearby Stays
Al Faisaliah, Riyadh, Saudi Arabia